कण कण में ईश्वर
Kiya Kan Kan me Ishwar ( Rab, Khuda,Lord) hai Yani Har Cheez ke Andar Khuda hai
Quran Hadees ke mutbiq Muslmano ka Ye Aqida hai ke Tamam Cheez Allah ki Hai Aur Har Cheez Ke Andar Rab ul Allameen ki Qudarat hai aur Allah humre Kharib bhi hai Jesa Usske Shan Ke layak hai ( Surah Bhaqrah Chapter 02 Ayat 186)
Ab dekhate hai Hindu ki kitab Kia Kehti hai 👇
Is Shalok Se Hindu Kehte hai ke Ishwar Kan kan me hai ( Yajurvada Chapter 40 Shalok 01 aur Isha Upanishad Shalok 01)
1) ईशावास्यमिदं सर्वं यत्किञ्च जगत्यां जगत् ।
तेन त्यक्तेन भुञ्जीथा मा गृधः कस्यस्विद्धनम् ।।01
īśāvāsyamidaṃ sarvaṃ yatkiñca jagatyāṃ jagat
tena tyaktena bhuñjīthā mā gṛdhaḥ kasyasviddhanam 01}
{Is Shalok Ko hum Word by Word Samje gay}
[जगत्याम् - jagatyām] Puri Qainat me [ यत् किम् च - yat kim ca} Jo Kuch bhi [ जगत् - jagat ] Duniya hai [इदम् - idam ] Ye [सर्वम् - sarvam ] Sab [ईशा - īśā ] Ishwar,(Khuda, Rab) Se [ वास्यम् vāsyam) Chaya hua hai [ तेन - tena त्यक्तेन - tyaktena] Usa Ishwar ( Khuda ) Ke diye huye Cheez [ भुञ्जीथा - bhūJñīthāḥ] Khaao Piyo Khush Rahu [ मा गृधः - mā gṛdhaḥ ] Lalacha mat karo [ धन - dhan ] Maal Daulat Paisa [कस्यस्वित् kasyasvit] kiss ka hai
[ Yani Paisa maal kiss ka nhi Ishwar,Rab,ka hai ]
( Shalok 01)
Tarjuma : Puri Qainat me Jo kuch bhi Duniya Hai Ye Sab me Ishawar ,Rab ,Khuda,Lord Chaya hua hai [ Yani Usski Qudrat Sab Taraf hai Aur Ye Qudrat Zahir kar rahi hai ke Usse kissi ne Banaya hai ] Usa Rab Ke Diye hui Cheeze Khao pio Aur Lalacha Mat karo Maal Daulat Paisa kiss ka nhi ,(Yani Sab Khuda ka hai Aur Usski Fazilat )
Note :- Is Shalok ka main 04 hindu scholar ka translate Diya hu Book photo ke sath Geeta Prees Gorakhpur Harikrishndas , Arya Samaj Tulsi Ram Sawami, aur Shree Ram Sharma Acharya , aur Dr rekha Wiyas 📝
Is Shalok Se Kuch bhi Waze nhi hua ke Ishwar Kan Kan ke Andar hai Haa Ye Zaroor hai ke Ishwar Sab me Chaya hua hai Yani har Tarah hai Jese Suraj ki Rooshni huti hai Phir bhi Bohot log ke Ye Baat Hajam Nhi hugi Unke liye mera 05 Sawal
1) Agar Har Cheez ke Andar Ishwar hai to Jo bada Janwar huta hai Wo Chote Janwar ko Kyu marta hai
2) Agar Ishwar Sab ke Andar hai to Har Saal Rawan ko kyu Jalte hu Kia Usske andar Ishwar nhi
3) Kia Ek Kashai Jab Janwar ko Kat ta hai Jab Usske Andar ka Ishwar kyu nhi Rokta
04) Agar Ishwar Sab ke andar hai to Jo Choti Choti Bachiyo ka Reep huta hai to Usske andar ka Ishwar Kyu nhi Rokta hai Ye paap Karne se
05) agar Ishwar sab ke andar hai to aaj ka Insan Chori Jhoot Madar Lalach kyu karta hai Kia Ye Sab kaam Ishwar ke hai
/////////////////////////////////////////////////////////////////////
Ab hum Dekhte hai ke Hindu Mazab ki kitab kia kehti hai har Cheez ke andar ishwar hai Yaa Usski Qudrat
2) ( Yajurveda Chapter 40 Shalok 09 aur Isha Upanishad Shalok 09)
अन्धं तमः प्र विशन्ति ये संभूतिमुपासते । ततो भूय इव ते तमो य उ संभूत्याँ रताः ॥९॥
Pehle hum Samj Lete hai ke Ashambuti aur Sambuti Kia huta hai Kiss ka Matalab kia hai
Ashambuti Usse kehte hai Jo Qudarti natural Cheez hu Jese [ Suraj, Chan ,Tare.Star , Pahad , Tree 🌲,Nadi , Pani, Aag ,insan Wagera Wagera] ko Kehte hai Jisko Qudrat ne Banaya hu Usse Ashambuti kehte hai Sanskrit me
Ab Samjte hai Sambuti Kisse Kehte hai , Sambuti Usse kehte hai Jissko Hath Se Banaya Gaya Hu Jese [ Murti , Paisa, photo,Khana Tebal, Wagera Wagera] Jo insan apne hath se Banaye Usse Sambuti kehte hai ( Ab Shalok ka Tarjuma karte hai )
अन्धं तमः प्र विशन्ति ये संभूतिमुपासते । ततो भूय इव ते तमो य उ संभूत्याँ रताः ॥९॥
Jo Log Ashambuti ( Qudrat natural) Cheez ki puja ( ibaadat) karte hai Wo Bohot Ander ( Yani Gumrahi ) me Chale Jate hai aur Jo log Sambuti (Hath se banai hui cheez) ki Puja karte hai Wo Un se bhi Zada Andere ( Gumrahi ,Jahnnum ,Narak) me Chale Jate hai
Note :- Is Shalok Se Waze huo ke Ishwar Kan kan ke andar nhi hai par Usski Qudrat Usski Nazar humre Sath hai
Note: Ap dekhte hai Puran Kia kehta hai Suraj Chand Shitre ki ibaadat karna Kesa
03 ( Devi Bagwata Puran 5 Sikand chapter 20 Shaloq 23)
Jo Suraj Chand Aag ki ibaadat karte hai Wo Kam Dimag ( murkh , pagal ) hai Wo logo humesha harah harah ki Musibaat me parte hai
Is Puran aur Shaloq Se Sabit huga ke Chan Suraj Ki ibaadat nhi karna Chahiye kyu ke Chan Suraj Aag ko bhi Ishwar Khuda ne Paida kia hai
✍️ Wajld_Aftab
Comments
Post a Comment